Friday, April 23, 2010

aa gaye thhe kitne kareeb hum tum..

aa gaye thhe kitne kareeb hum tum..
yeh tum jaanti ho,aur main jaanta hoon..
koi laakh samjhe,samajh nahi sakta...
ki faasle na reh gaye thhe bich hamare tumhare..

main maanta hoon ki,main baavla hoon..
nihaarta tumhe main tak taki laga ke..
jaise chakor dekhe chandini ke srijak ko..
jo hai toh sabhi ka,kintu woh usse maane apna..

lekin main itna baavla bhi nahi hoon..
jo samajh na sake,raha tha kya chal,andar tumhare..
na itna andha hi hoon main ki,
dekh na paoon bhitar tumhare..

itni najdeek se dekha hai,tumhe,maine..
shaayad kabhi darpan mein bhi khud ko na khangaala ho tumne..
darpan darshan mein bhi,vastu aur pratibimb ka farq hai rah jaata..
maine dekha hai tumhe iss farq ko bhi vilopit karke

par shaayad tum,dekh na pai ki,
dekhta hoon tumhe main apne hridya mein..
ya shaayad,tum,darr gayi dekh mujhme..
apne aap ko uss din..

mujhse duur reh kar,reh sakti ho jeevit tum..
kintu,khud se rehkar duur ho rahi ho pratipal,mrit tum..
main tumko jeelaana chahta hoon,
tumhe,tumse milaana chahta hoon..

aa gaye thhe kitne kareeb hum tum..
mujhe hai yaad,bas tumhe yaad dilaana chahta hoon..

abhijeet anand(ranu)
23/04/2010

No comments:

Post a Comment