Saturday, April 17, 2010

kyun?

puchhte hain woh ab aksar
chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
pehle nhi thhe tum baat krte thhakte
ab khaamosh 'kyun' ho jaate ho
'kyun' ab kam muskurate ho...

puchhte hain woh ab aksar
chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
yaad dilaata hoon unhe main
pehle bhi aksar chup rha krta tha main
farq itna hai bas
pehle tum meri khamoshiyon ko bhi suna karti thi
shayad,uss par kabhi kabhi socha karti thhi
udhherbun kiya karti thi

puchhte hain woh ab aksar
chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
unn khamosh guftugu ke waqt
main tumhari saansein suna karta thha
unhe apne kaano par mehsoos kiya karta tha
par ab.......
unhe meri khamoshi 'khamosh' lagti hai
uss khamoshi se zaroori har dusri cheez lagti hai

puchhte hain woh ab aksar
chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
agar sun sako toh suno
meri khamoshi bejubaan nahi hai
ik sailaab sa hai bheetar
par beh nikale aisa daayra nahi hai

muskurata hoon main 'ab bhi'
unn khaamoshiyon ko yaad kar kar
kehna tha uss waqt bhi bahut kuch
par bandishein badi thhi

puchhte hain woh ab aksar
chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
agar sun sako toh suno
main kya suna karta hoo unn khamosh palon mein
tumhare shor mein
tumhari khamoshiyon mein

sunta tha aur sunta hoon
main tumhare har darr ko
darr phir se jee uthhne ka
darr kuch paakar usse kho dene ka
sunta hoon main tumhari khamosh siskiyon ko
sunta hoon main tumhari har pareshaan dhadkan ko
jinhe chhupati ho tum
apne charo or shor ka ek parda daal kar

puchhte hain woh ab aksar
chup ho jaate ho tum 'kyun'
baatein karte karte
chup ho jaata hoon main
taaki 'tum' sun sako woh
jo sunta hoon main tum mein
jin aawazon ko tum khud se duur kar
ji rahi ho ek chhan bhangur marichika mein

agar sun sako toh suno
sawaal uthhte hain mere andar bhi
jo aksar hriday-garbh mein maun mrityu paate hain
par aaj yeh yakchh prashn karta hoon tumse
jo rakt-beej ki tarah baar baar janamta hai mere mann mein
agar kabhi jawaab de sako toh dena
'kyun?'
'aakhir kyun?


abhijeet anand 'ranu' (12/04/2010)'

No comments:

Post a Comment