Thursday, October 18, 2012

जब कोई छत पर चाँद देखने बुलाता था...

आज सहसा कलम फूट रो पड़ी ,
लिया खुद  लपेट मेरी  उँगलियों को अपनी चारो ओर ,
फफक के पुरे हक से मुझे कहा ""  बस "
और मत घोंटो अपने जज्बातों का दम ,

क्या हुआ गर तुम्हारी कहानी एक  सिलसिला  न बन  सकी ,
झूठी कल्पना ही सही ,आखिर कुछ लिखो तो कभी,
एक  पाती  ,एक ,कविता एक छंद ,एक पंक्ति ;
कुछ भी तो लिखो  अभी ;

बहुत हुआ ,अब बर्दाश्त नहीं होता,
तुम्हारा मुझे अकेली रातो में आगोश में लेना,
और, बिना पन्ने स्याह किये 
खुद में उलझे हुए मुझे वापस रख देना ,

न मेरे लिए ,न उसके लिए ;
कभी खुद के लिए ही सही ,
कुछ लिखो तो कभी ....
अपने ख्यालो के रंग शब्दों में  तो कभी ..

मैं , सुनता रहा ;वो जिद करती रही,
आकाश  में नक्षत्र  भी नृत्य करते रहे,
फिर उन्ही  ख्यालों का ,सवालों का ..
रेला ज़हन में शोर करने लगा ,
हाथ फिर बढ़ चलें ,टटोलते ,
किसी सादे पन्ने की तलाश में ...

घुमड़ रही  थी हृदय में  इतनी  यादें ,
ख्याल,ख्वाब ,आवाज़ ,अदा ,अरमान ,दर्द ;
की लिखूं तो हर रिक्तियां रक्त से भरे।

लेकिन मजबूर था ; मर्ज़  मेरा ,दर्द मेरा ;
उस निश्छल,निर्विकार उजले कागज़ का क्या कुसूर ,
की उसे भी खुद के दर्द से बोझिल करूँ ...
रख उस उदास कलम को लेट गया मैं,
खिड़की के बाहर दमकते चाँद को देखते,
खो गया फिर उस ठहरे  हुए वक़्त में,
जब कोई छत पर चाँद देखने बुलाता था...

-अभिजीत आनंद 'जीत ' 

           28/09/12

Monday, April 16, 2012

The alleged three mistakes of my life..

1)Fajr ke namaaziyon ko shayad,
   Tumhari unnindi alsaayi aankho ki khabar nhi h,
   Warna ab talak unn becharo ko,
   Rukh-e-kaaba maloom na hota...

2) Jo tum kal raat,khidki ka paat zara sa khol ke soti,
    Toh aaj tumhe,chhu kar, yeh kiranein subah ki,
     Apne milo ke safar ka...
     Koi naya maksad jaan paati..

3) Jaade ki dhundhali subaho mein,
     Dakshinaayan suraj ke kirano samdrishya,
    Duniya ke kaate kapaas se bane badappan ke farebi chogey par,
      Thhode apne bachpan k pitare k nischal moti v sajaey rakhna,

    Har thithurti raat ke aagey,
        Ek sunhari subah
Hai...
     Sab yeh baat bhulwana chahenge..
        Zara sa hi sahi,par khud ko iss baat mein kahin bhulaye rakhna

-Abhijeet Anand "jeet"

Thursday, April 12, 2012

Mohabbat kya hai...


Mohabbat kya hai, iss se kuchh khaas itefaaq nahi hai apna,

Par,shayad ye unn palo mein kahin rumaa hoti ho, Jab ki zehen alfaazo se mehroom ho,

Aur sivaay kuchh ek aah, Aur atakti saanso ke wahan kuch bhi na ho,

Dhadhkanein bhi jab kuchh hairaan-pareshaan si, Har guzarte pal mein na dhadhkane ka koi bahana dhoondh leti ho,

Jab unn chand palo mein jaise hazaaro zindagiyaan guzarti jaati ho,
Jab band aankhein kisi ke aks ko kuchh jyada saaf saaf dekh paati ho,

Unn khamoshiyon ke jugnu se,tim-timaate lamhaato mein,
Jab bhitar barbas Sirf ek tamanna machalti ho,
Ki Ruk jaaye……….
tham jaaye……...... Zindagi……............................................... wahin....................................................... Unn palo mein kahin..........................

Shayad,Itefaaqan muhabbat kuch kuch, Aisi hi hoti ho..
Waise ,Yeh Mohabbat kya hai, iss se kuchh khaas itefaaq nahi hai apna..

-Abhijeet Anand 'jeet'
04/08/2011

Wednesday, April 6, 2011


aksar aainaa mera,
mujhse kaha karta hai..
ki "jeet" teri har jeet,
mujhe teri haar sa dikhta hai..


samajh nhi sakta aaina mera,
gar samajh bhi jaaye ,shayad thaam na sake usse,
ki 'kaanch' uska,
tapa nahi hain mere 'kaanch' sa,

na samajh sakega woh,
kaise kisi ke aawazon ki khanak se,
boontein hain mirg-marichikaon ko,
jaanta hoon main jhaank nahi sakta woh, khud mein,
jaise main, jhaankta hoon khud ko uss mein,

par,aaj shayad mere aaine ne,
sunn li aap se meri bahas,
nikaal haath,thaam liya haath mera,
puchha-“arey chitrakaar  mere,
yeh jo tum ranga karte ho,badan par meri apni kalpana,
rangte kyun nahi waise duniya kabhi apni  ?”

hans pada main,ya shayad aah bhari maine,
kaha aaine se,dost,
jo bhitar hai mere..
jo chahta hoon main,zindgi se…
shayad hadein badi nahi hain utni,duniya ki,abhi..
jo samet sake usse..

ya fir mera 'kaanch' bhi ,
majboot nahi hai itna shayad,
jo bikhare na jaan hadein,
duniya ki aur ‘apni’..

puchkaara aaine ko,
“arey paagal andar tere,
Sansaar se vishaal ek samdrishya sansaar hai chhupa,
Toh padi ha kya  mujhe,jhaankane ki,
Iss banavati jhhuthhe  adhurey yathaarth mein",

Lagta hai,samajh gaya shayad aaina mera ab,
ki Hai kam kitna farq,meri “jeet” aur meri haar mein..

-ABHIJEET ANAND “JEET” (06/april/2011)

Friday, April 23, 2010

aa gaye thhe kitne kareeb hum tum..

aa gaye thhe kitne kareeb hum tum..
yeh tum jaanti ho,aur main jaanta hoon..
koi laakh samjhe,samajh nahi sakta...
ki faasle na reh gaye thhe bich hamare tumhare..

main maanta hoon ki,main baavla hoon..
nihaarta tumhe main tak taki laga ke..
jaise chakor dekhe chandini ke srijak ko..
jo hai toh sabhi ka,kintu woh usse maane apna..

lekin main itna baavla bhi nahi hoon..
jo samajh na sake,raha tha kya chal,andar tumhare..
na itna andha hi hoon main ki,
dekh na paoon bhitar tumhare..

itni najdeek se dekha hai,tumhe,maine..
shaayad kabhi darpan mein bhi khud ko na khangaala ho tumne..
darpan darshan mein bhi,vastu aur pratibimb ka farq hai rah jaata..
maine dekha hai tumhe iss farq ko bhi vilopit karke

par shaayad tum,dekh na pai ki,
dekhta hoon tumhe main apne hridya mein..
ya shaayad,tum,darr gayi dekh mujhme..
apne aap ko uss din..

mujhse duur reh kar,reh sakti ho jeevit tum..
kintu,khud se rehkar duur ho rahi ho pratipal,mrit tum..
main tumko jeelaana chahta hoon,
tumhe,tumse milaana chahta hoon..

aa gaye thhe kitne kareeb hum tum..
mujhe hai yaad,bas tumhe yaad dilaana chahta hoon..

abhijeet anand(ranu)
23/04/2010

Saturday, April 17, 2010

TUM

mili thi mujhe,ek mod par tum
meri zindgi,meri saans bankar

ik ajeeb baat mehsoos ki maine,
ki mere har sawal ka jawab thi tum....
lajawaab thi tum.

tumhare liye main bhale kuch bhi na ho,
mere liye roz ki subah shaam thhi tum,
har pata....har naam thhi tum...
meri benaam gumshudgi ki pehchaan thi tum,
khwab thi tum....armaan thi tum.....

tumhe kya pata,kya thi tum....
jo shaayar na keh saka..wo alfaaz thi tum..
khwabo ke dariya ka saahil thi tum,
jise udd ke bhi na chhu saka.....
woh aasma thi tum..

ik khubsurat titli thi tum,
muthhi mein band karne se darta tha jise..
darta tha,kahi thhes na pahuncha doon..
hawao mein ithlaati.....rang bikherti hi pasand thi tum...
uff!bas kamaal ho tum...


ranu(19/12/2007)

Yaadein

yaadein palaash ke patton ki tarah hoti hain,
pehle kuch dino hari hoti hain,
chalo mana...
kuch aur din hari hoti hain,
gar koi sinchta hai usse,
har roz..
har pal..
kvi aansuon se ,
kvi muskuraahton se..

yaadein palaash ke patton ki tarah hoti hain,
pehle kuch dino hari hoti hain,
phir,haule se...mausam ka rukh badaltaa hai,
waqt badalltaa hai..
haalaat badaltein hain..
aksar dekha hai ki
insaan badaltein hain,


woh hare hare pattein,
jo iss chir bhram mein thhe
woh rahenge unn saakhon pe anant tak,
tutate hain..
girte hain..
bikhar jaatein hain..
ek badrang...matmaila dher ban jaate hain,

yaadein palaash ke patton ki tarah hoti hain,
pehle kuch dino hari hoti hain,
hawaeyein aakar unn patton ko uda le jaati hain..
unke bhram ko tod jaati hai..
fir bhi..
kabhi kabhi...
kuch patton ko panah mil jaati hai,
kitaabon ke panno ke bich,
maana,ki woh phir se hare nahi ho sakte,
lekin..
kam-se-kam apni ik pehchaan rakhte hain,

kaash main bhi "woh" palaash ka pata ban pata...
kaash main bhi "kisi" ki zindgi ke panno mein chhap pata....


abhijeet 'ranu' (11 april,2010)